Thursday, June 11, 2009

Aaj meri zubaan behri ho gayi hai...aur kaanon ne bolna band kar diya hai.Nazar ladkhada rahi hai aur kadam kahin atak gaye hain.Haan yeh sach hai ki mujhe zindagi mein itna maza kabhi nahin aaya.
Kyon yaad dilate ho gurbat ke un dino ki.......aaj kal to hum shaque se faake kiya karte hain.